Thursday 7 June 2012

Mera Pyaara Sheher


Pyaara Sheher
Baat be-baat pe apni hi baat kehta hai
Mere andar mera chhota sa sheher rehta hai

Mera andar ka sheher kaafi khubsurat sa lagta hai mujhey. Iski sadkein jaise mere liye hi bani hain. Kisi bhi raaste par chal padu, manzil hamesha ek ‘yaad’ hoti hai. Kabhi koi dhundli si yaad, kabhi koi muskuraati huyi yaad, kabhi koi rulati huyi yaad, to kabhi wo yaad jise mehsoos kar ke lage ki kaash mai ise phir se jee lu.Waise sach kahun to kuch yaadein mai chhup ke jee bhi leti hoon. Kabhi kabhi Papa ke scooter pe zidd karke ghoomne chali jaati hoon… OSCM ke lecture me us purane dost ke saath bekaar ki baatein bana kar has leti hoon..saat aath saal ki umr me jaakar bade hone ke sapne dekh leti hoon..aur school ke dino me jakar bohot saarey paise kamane ka bhi soch leti hoon. Sach poochho to maza aata hai. Apni yaadon ko jaisa mann kahe waise jeene ki azaadi hai yahan.

Meri yaadon ko meri hi zubaani kehta hai
Wahi chhota sa sheher jo mere andar rehta hai

Mere sheher ke log bhi kaafi apne se lagte hain. Zadatar mere dost hain yahan par. Ek wo hai jo English test me meri notebook me jhaankta hai...ek wo hai jiske gifts me hamesha ghadi hoti hai...ek wo bhi hai jiske saath Devanand aur Rajesh Khanna ki nakal kiya karte hain. Yahan ke log mera kaafi khayaal rakhte hai. Asal zindagi se bhi zyada. Mera bhi har waqt dil karta hai ki unhe khush dekhun. Asal zindagi me unse door reh kar ‘Pyaara Sheher’ me unse milu aur khubsari baatein karun. Is sheher me meri wo dost bhi hai jo mere saath rehti hai, wo jiske saath ek hi plate me khana khaane ki aadat si ho gayi thi.Mai aur wo yahan bhi ek hi kamre me rehte hain. Kisi aur ko ‘roommate’ ki jagah dekhne ka khayal, khayalon me bhi nahi aa paya. Isme mera wo dost bhi rehta hai jiske saath baatein hamesha ‘hello…thank you’ se shuru hoti hain. Hum Pyaara Sheher me bhi ek dusre ki baatein bina kahe hi samajh jaate hain aur yahan bhi kisi ko hamare mazaak par hasi nahi aati. Par mujhey fark nahi padta. Kyuki Pyaara Sheher me guzara har ek pal mujhey ek khushi si de jata hai.
Yahan ke har bande ko mera apna kehta hai
Wahi chhota sa sheher jo mere andar rehta hai

Jis tarah koi shayar apni tanhai se baatein kiya karta tha, mai apne Pyaara Sheher ki yaado se baatein karti hoon. Mere saare din ka sukoon isi sheher me kahin chhupa hota hai. Usey dhoondte huye raaste me kai yaadein mujhey mil jaati hain. Mai apne hisse ke waqt ke do pal unhe de deti hoon. Unhe chhu ke, mehsoos kar ke, ek aur baar jee ke..aage badh jaati hoon. Shayad is yaqeen ke saath ki wo saari yaadein mere Pyaara Sheher me mehfooz hain. Mai dobara aungi to wo mujhey yahin kahin phir milengi.

Apni yaadon me aksar mujhey kehta hai
Mere andar mera chhota sa sheher rehta hai.

2 comments:

  1. Hey man nice to see this.
    we can share our thoughts.
    http://loveislife1122.blogspot.com/

    ReplyDelete